tu uDne ka jab bhi irada karega
tū uḌne kā jab bhī irāda karegā
falak apnā siina kushāda karegā
abhī dil ko qaabū meñ kar lo to behtar
ye majbūr varna ziyāda karegā
safar kā irāda badal jaa.e shāyad
rah-e-dil vo jab tak kushāda karegā
ma.ānī kā us meñ samundar sā hogā
ba-zāhir vo har baat saada karegā
vahī naujavāñ hogā millat kā taarā
jo ta.alīm se istifāda karegā
maiñ Dhal bhī gayā to ye mahtāb 'ahsan'
ziyā se mirī istifāda karegā
tu uDne ka jab bhi irada karega
falak apna sina kushada karega
abhi dil ko qabu mein kar lo to behtar
ye majbur warna ziyaada karega
safar ka irada badal jae shayad
rah-e-dil wo jab tak kushada karega
maani ka us mein samundar sa hoga
ba-zahir wo har baat sada karega
wahi naujawan hoga millat ka tara
jo talim se istifada karega
main Dhal bhi gaya to ye mahtab 'ahsan'
ziya se meri istifada karega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.