tu unhen yaad aaegi ai juebar agle baras
tū unheñ yaad aa.egī ai jūebār agle baras
ab to lauTegī parindoñ kī qatār agle baras
aur kuchh din us se milne ke liye jaate raho
bastiyāñ bas jā.eñgī dariyā ke paar agle baras
tum to sachche ho magar dil kā bharosa kuchh nahīñ
bujh na jaa.e ye charāġh-e-intizār agle baras
pahle ham pichhlī rutoñ ke dard kā kar leñ hisāb
is baras ke saare zaḳhmoñ kā shumār agle baras
maiñ na.e mausam meñ barg-e-tāza ban kar ā.ūñgā
phir mileñge ai havā-e-shāḳhsār agle baras
tu unhen yaad aaegi ai juebar agle baras
ab to lauTegi parindon ki qatar agle baras
aur kuchh din us se milne ke liye jate raho
bastiyan bas jaengi dariya ke par agle baras
tum to sachche ho magar dil ka bharosa kuchh nahin
bujh na jae ye charagh-e-intizar agle baras
pahle hum pichhli ruton ke dard ka kar len hisab
is baras ke sare zaKHmon ka shumar agle baras
main nae mausam mein barg-e-taza ban kar aaunga
phir milenge ai hawa-e-shaKHsar agle baras
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.