tu waz’ par apni qaim rah qudrat ki magar tahqir na kar
tu waz’ par apni qaim rah qudrat ki magar tahqir na kar
Akbar Allahabadi
MORE BYAkbar Allahabadi
tū vaz’ par apnī qaa.im rah qudrat kī magar tahqīr na kar
de pā-e-nazar ko āzādī ḳhud-bīnī ko zanjīr na kar
go terā 'amal mahdūd rahe aur apnī hī had maqsūd rahe
rakh zehn ko sāthī fitrat kā band us pe dar-e-tāsīr na kar
bātin meñ ubhar kar zabt-e-fuġhāñ le apnī nazar se kār-e-zabāñ
dil josh meñ lā fariyād na kar tāsīr dikhā taqrīr na kar
tū ḳhaak meñ mil aur aag meñ jal jab ḳhisht bane tab kaam chale
in ḳhaam diloñ ke unsur par buniyād na rakh tā'mīr na kar
tu waz’ par apni qaim rah qudrat ki magar tahqir na kar
de pa-e-nazar ko aazadi KHud-bini ko zanjir na kar
go tera 'amal mahdud rahe aur apni hi had maqsud rahe
rakh zehn ko sathi fitrat ka band us pe dar-e-tasir na kar
baatin mein ubhar kar zabt-e-fughan le apni nazar se kar-e-zaban
dil josh mein la fariyaad na kar tasir dikha taqrir na kar
tu KHak mein mil aur aag mein jal jab KHisht bane tab kaam chale
in KHam dilon ke unsur par buniyaad na rakh ta'mir na kar
- Book : ہنگامہ ہے کیوں برپا (Pg. 101)
- Author : اکبر الہ آبادی
- Publication : ریختہ بکس (2023)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.