tu yaad meri sanbhaal rakhna KHayal rakhna KHayal rakhna
tū yaad merī sañbhāl rakhnā ḳhayāl rakhnā ḳhayāl rakhnā
ye rābta yuuñ bahāl rakhnā ḳhayāl rakhnā ḳhayāl rakhnā
tumhāre chehre pe ġham jo dekhā to TuuT jā.egā zabt merā
bahāl husn-o-jamāl rakhnā ḳhayāl rakhnā ḳhayāl rakhnā
diloñ meñ chāhat agar rahī to zarūr ik din mileñge va.ada
na vahm koī bhī paal rakhnā ḳhayāl rakhnā ḳhayāl rakhnā
zarā sī ġhaflat pe dekhnā tum utar na aa.e ye sar-kashī par
hamesha dil ko nihāl rakhnā ḳhayāl rakhnā ḳhayāl rakhnā
baḌe haiñ chālāk shahr vaale nazar se koī na baat karnā
chhupā ke man meñ savāl rakhnā ḳhayāl rakhnā ḳhayāl rakhnā
karegā barbād vo 'rishā' jī sukūn nekī tirī ibādat
tū luqma muñh meñ halāl rakhnā ḳhayāl rakhnā ḳhayāl rakhnā
tu yaad meri sanbhaal rakhna KHayal rakhna KHayal rakhna
ye rabta yun bahaal rakhna KHayal rakhna KHayal rakhna
tumhaare chehre pe gham jo dekha to TuT jaega zabt mera
bahaal husn-o-jamal rakhna KHayal rakhna KHayal rakhna
dilon mein chahat agar rahi to zarur ek din milenge wada
na wahm koi bhi pal rakhna KHayal rakhna KHayal rakhna
zara si ghaflat pe dekhna tum utar na aae ye sar-kashi par
hamesha dil ko nihaal rakhna KHayal rakhna KHayal rakhna
baDe hain chaalak shahr wale nazar se koi na baat karna
chhupa ke man mein sawal rakhna KHayal rakhna KHayal rakhna
karega barbaad wo 'risha' ji sukun neki teri ibaadat
tu luqma munh mein halal rakhna KHayal rakhna KHayal rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.