tu zid se shab-e-wasl na aaya to hua kya
tū zid se shab-e-vasl na aayā to huā kyā
ham mar na ga.e dil ko kuḌhāyā to huā kyā
tasvīr-e-nihālī se ham-āġhosh rahe ham
gar aa ke na saath apne sulāyā to huā kyā
dekhā hī kiye tere tasavvur meñ qamar ko
gar tā-sahar ai yaar! jagāyā to huā kyā
phūloñ kī rahī sej jo ḳhālī to balā se
añgāroñ pe gar ham ko liTāyā to huā kyā
muñh laal huā ġhuncha-sifat ḳhūn-e-jigar se
hāthoñ se tire paan na khāyā to huā kyā
behtar ye huā nāma-o-paiġhām se chhūTe
gar aap na aayā na bulāyā to huā kyā
dushman kā uḌāne ko dhuāñ ye bhī bahut haiñ
ġhairoñ ke sikhāne se jalāyā to huā kyā
mar jaane se to ham rahe juuñ panja-e-marjāñ
haath apnā jo mehñdī se bañdhāyā to huā kyā
tū aap hī dekh uñgliyoñ kī fundaqeñ uudī
jāmun ke jo paudoñ ko lagāyā to huā kyā
dekhā hai bahut bhān-matī kā ye tamāshā
sarsoñ ko hathelī pe jamāyā to huā kyā
ham sarv-e-chaman dil kī har ik aah ko samjhe
apnā qad-e-mauzūñ na dikhāyā to huā kyā
ham ne bhī mohabbat ko tirī taaq pe rakkhā
abrū jo sū-e-ġhair hilāyā to huā kyā
ye yaad rahe ham bhī nahīñ yaad kareñge
gar tū ne hameñ dil se bhulāyā to huā kyā
mīnā-ba-baġhal āblā-e-dil se rahe ham
jām-e-mai-e-agul-gūñ na pilāyā to huā kyā
dam aur hī ik dostī kā yaar bhareñge
muñh juuñ na.e quliyāñ na lagāyā to huā kyā
mat kah ki tasavvur meñ ḳhat-e-sabz ke mere
gar 'shāh'-nasīr ashk bahāyā to huā kyā
hai dalne ko chhātī pe tirī muuñg ḳhat-e-sabz
gar zahr-e-ġham-e-hijr khilāyā to huā kyā
tu zid se shab-e-wasl na aaya to hua kya
hum mar na gae dil ko kuDhaya to hua kya
taswir-e-nihaali se ham-aghosh rahe hum
gar aa ke na sath apne sulaya to hua kya
dekha hi kiye tere tasawwur mein qamar ko
gar ta-sahar ai yar! jagaya to hua kya
phulon ki rahi sej jo KHali to bala se
angaron pe gar hum ko liTaya to hua kya
munh lal hua ghuncha-sifat KHun-e-jigar se
hathon se tere pan na khaya to hua kya
behtar ye hua nama-o-paigham se chhuTe
gar aap na aaya na bulaya to hua kya
dushman ka uDane ko dhuan ye bhi bahut hain
ghairon ke sikhane se jalaya to hua kya
mar jaane se to hum rahe jun panja-e-marjaan
hath apna jo mehndi se bandhaya to hua kya
tu aap hi dekh ungliyon ki fundaqen udi
jamun ke jo paudon ko lagaya to hua kya
dekha hai bahut bhan-mati ka ye tamasha
sarson ko hatheli pe jamaya to hua kya
hum sarw-e-chaman dil ki har ek aah ko samjhe
apna qad-e-mauzun na dikhaya to hua kya
hum ne bhi mohabbat ko teri taq pe rakkha
abru jo su-e-ghair hilaya to hua kya
ye yaad rahe hum bhi nahin yaad karenge
gar tu ne hamein dil se bhulaya to hua kya
mina-ba-baghal aabla-e-dil se rahe hum
jam-e-mai-e-agul-gun na pilaya to hua kya
dam aur hi ek dosti ka yar bharenge
munh jun nae quliyan na lagaya to hua kya
mat kah ki tasawwur mein KHat-e-sabz ke mere
gar 'shah'-nasir ashk bahaya to hua kya
hai dalne ko chhati pe teri mung KHat-e-sabz
gar zahr-e-gham-e-hijr khilaya to hua kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.