tufan badal gae kabhi dhaare badal gae
tūfāñ badal ga.e kabhī dhāre badal ga.e
maujoñ ke saath saath kināre badal ga.e
ġham-hā-e-zindagī ke sahāre badal ga.e
mastī bharī nazar ke ishāre badal ga.e
taarī fazā-e-kaif pe be-kaifiyāñ sī thiiñ
uThī jo vo nazar to nazāre badal ga.e
is vārdāt-e-ḳhās kā kis se karūñ gila
badle haiñ jab se aap sitāre badal ga.e
ThanDī huī na ashk-e-ravāñ se bhī ġham key aag
aañsū badal ga.e ki sharāre badal ga.e
sunte hī 'raushnī' key ġhazal log kah uThe
ġham-hā-e-zindagī ke nazāre badal ga.e
tufan badal gae kabhi dhaare badal gae
maujon ke sath sath kinare badal gae
gham-ha-e-zindagi ke sahaare badal gae
masti bhari nazar ke ishaare badal gae
tari faza-e-kaif pe be-kaifiyan si thin
uThi jo wo nazar to nazare badal gae
is wardat-e-KHas ka kis se karun gila
badle hain jab se aap sitare badal gae
ThanDi hui na ashk-e-rawan se bhi gham key aag
aansu badal gae ki sharare badal gae
sunte hi 'raushni' key ghazal log kah uThe
gham-ha-e-zindagi ke nazare badal gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.