tufan hai maujzan meri chashm-e-pur-ab mein
tūfāñ hai maujzan mirī chashm-e-pur-āb meñ
Duubā tilism-e-'ishq se dariyā habāb meñ
jalve tumhāre nichle na baiThe naqāb meñ
in bijliyoñ ne aag lagā dī sahāb meñ
hoñToñ se tere jī ke rahā iztirāb meñ
machhlī kī jaan aa ga.ī murġh-e-kabāb meñ
maiñ ne kiyā salām lagā.e unhoñ ne tiir
chaar uñgliyāñ uThā.ī haiñ goyā javāb meñ
aa.ī hai baḌh ke rū-e-kitābī pe zulf-e-yār
bismillah aaj likkhī ga.ī hai kitāb meñ
chuTkī baġhal meñ le ke vo betāb kar ga.e
rāhat 'azāb meñ hai sukūñ iztirāb meñ
mahshar ke fitna fitne ke mahshar hai ham-ināñ
chalte haiñ donoñ mil ke tumhārī rikāb meñ
paanī meñ aur bū-e-vafā aisī tez tez
bulbul kī ruuh aa.ī hai khiñch kar gulāb meñ
ik ik ghaḌī hai roz-e-qayāmat firāq kī
sadiyoñ se jī rahā huuñ jahān-e-ḳharāb meñ
paḌh lī namāz-e-shukr mirī nā'sh dekh kar
'rāsiḳh' vo muft ho ga.e shāmil savāb meñ
tufan hai maujzan meri chashm-e-pur-ab mein
Duba tilism-e-'ishq se dariya habab mein
jalwe tumhaare nichle na baiThe naqab mein
in bijliyon ne aag laga di sahab mein
honTon se tere ji ke raha iztirab mein
machhli ki jaan aa gai murgh-e-kabab mein
main ne kiya salam lagae unhon ne tir
chaar ungliyan uThai hain goya jawab mein
aai hai baDh ke ru-e-kitabi pe zulf-e-yar
bismillah aaj likkhi gai hai kitab mein
chuTki baghal mein le ke wo betab kar gae
rahat 'azab mein hai sukun iztirab mein
mahshar ke fitna fitne ke mahshar hai ham-inan
chalte hain donon mil ke tumhaari rikab mein
pani mein aur bu-e-wafa aisi tez tez
bulbul ki ruh aai hai khinch kar gulab mein
ek ek ghaDi hai roz-e-qayamat firaq ki
sadiyon se ji raha hun jahan-e-KHarab mein
paDh li namaz-e-shukr meri na'sh dekh kar
'rasiKH' wo muft ho gae shamil sawab mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.