tufan ka hawaon ka pani ka kya bana
tūfān kā havāoñ kā paanī kā kyā banā
kashtī bhañvar meñ thī to ravānī kā kyā banā
kirdār to shurūa meñ maarā gayā magar
ye to batā ke jaao kahānī kā kyā banā
us ne ḳhabar ye dī mirā āñgan ujaḌ gayā
maiñ sochtī huuñ raat kī raanī kā kyā banā
ab peḌ to nahīñ haiñ parinde kahāñ ga.e
aur ye ki un kī naql-e-makānī kā kyā banā
vo le gayā thā saath kināre sameT kar
dariyā se pūchhtī rahī paanī kā kyā banā
maiñ aa.ine meñ DhūñDhtī rahtī huuñ raat din
kuchh to patā chale ki javānī kā kyā banā
maiñ to rukī nahīñ thī chalī aa.ī chhoḌ kar
jaane phir us kī talḳh-bayānī kā kyā banā
vo jo tumhāre paas amānat paḌī rahī
us gungunātī shaam suhānī kā kyā banā
tufan ka hawaon ka pani ka kya bana
kashti bhanwar mein thi to rawani ka kya bana
kirdar to shurua mein mara gaya magar
ye to bata ke jao kahani ka kya bana
us ne KHabar ye di mera aangan ujaD gaya
main sochti hun raat ki rani ka kya bana
ab peD to nahin hain parinde kahan gae
aur ye ki un ki naql-e-makani ka kya bana
wo le gaya tha sath kinare sameT kar
dariya se puchhti rahi pani ka kya bana
main aaine mein DhunDhti rahti hun raat din
kuchh to pata chale ki jawani ka kya bana
main to ruki nahin thi chali aai chhoD kar
jaane phir us ki talKH-bayani ka kya bana
wo jo tumhaare pas amanat paDi rahi
us gungunati sham suhani ka kya bana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.