tufan ka wahm hai na samundar ka KHauf hai
tūfāñ kā vahm hai na samundar kā ḳhauf hai
mujh meñ chhupā huā mire andar kā ḳhauf hai
ummīd jis se zinda thī vo fasl jal ga.ī
jo rehn rakh chukā huuñ usī ghar kā ḳhauf hai
mere badan meñ jis se darāḌeñ sī paḌ ga.iiñ
āñkhoñ meñ aaj bhī usī manzar kā ḳhauf hai
āvāz dā.eroñ meñ muqayyad sī ho ga.ī
har ik sadā ko gumbad-e-be-dar kā ḳhauf hai
maiñ bhī usī qabīle kā ik fard huuñ 'nazīr'
dastār se ziyāda jise sar kā ḳhauf hai
tufan ka wahm hai na samundar ka KHauf hai
mujh mein chhupa hua mere andar ka KHauf hai
ummid jis se zinda thi wo fasl jal gai
jo rehn rakh chuka hun usi ghar ka KHauf hai
mere badan mein jis se daraDen si paD gain
aankhon mein aaj bhi usi manzar ka KHauf hai
aawaz daeron mein muqayyad si ho gai
har ek sada ko gumbad-e-be-dar ka KHauf hai
main bhi usi qabile ka ek fard hun 'nazir'
dastar se ziyaada jise sar ka KHauf hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.