tufan koi nazar mein na dariya ubaal par
tūfāñ koī nazar meñ na dariyā ubaal par
vo kaun the jo bah ga.e parbat kī Dhaal par
karne chalī thī aql junūñ se mubāhise
patthar ke but meñ Dhal ga.ī pahle savāl par
merā ḳhayāl hai ki use bhī nahīñ sabāt
jaañ de rahā hai saarā jahāñ jis jamāl par
le chal kahīñ bhī aarzū lekin zabān de
hargiz na ḳhuun ro.egī apne ma.aal par
aise makān se to yahāñ be-makāñ bhale
hai inhisār jis kā mahz ehtimāl par
'mājid' ḳhudā ke vāste kuchh der ke liye
ro lene de akelā mujhe apne haal par
tufan koi nazar mein na dariya ubaal par
wo kaun the jo bah gae parbat ki Dhaal par
karne chali thi aql junun se mubahise
patthar ke but mein Dhal gai pahle sawal par
mera KHayal hai ki use bhi nahin sabaat
jaan de raha hai sara jahan jis jamal par
le chal kahin bhi aarzu lekin zaban de
hargiz na KHun roegi apne maal par
aise makan se to yahan be-makan bhale
hai inhisar jis ka mahz ehtimal par
'majid' KHuda ke waste kuchh der ke liye
ro lene de akela mujhe apne haal par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.