tufan nahin guzre ki bayaban nahin guzre
tūfāñ nahīñ guzre ki bayābāñ nahīñ guzre
ham marhala-e-zīst se āsāñ nahīñ guzre
kuchh aise maqāmāt bhī the rāh-e-vafā meñ
mahsūs ye hotā thā ki insāñ nahīñ guzre
arsa huā vo zulf-e-pareshāñ nahīñ dekhī
muddat huī nazroñ se gulistāñ nahīñ guzre
har hādisa-e-nau se ulajhte ga.e har gaam
ham rahguzar-e-shauq se guzarāñ nahīñ guzre
hairān to guzre haiñ zamāne kī ravish se
ye apnī ravish thī ki pareshāñ nahīñ guzre
kyā ham ko satā.egā ġham-e-gardish-e-daurāñ
ham tujh se abhī ai ġham-e-jānāñ nahīñ guzre
tufan nahin guzre ki bayaban nahin guzre
hum marhala-e-zist se aasan nahin guzre
kuchh aise maqamat bhi the rah-e-wafa mein
mahsus ye hota tha ki insan nahin guzre
arsa hua wo zulf-e-pareshan nahin dekhi
muddat hui nazron se gulistan nahin guzre
har hadisa-e-nau se ulajhte gae har gam
hum rahguzar-e-shauq se guzaran nahin guzre
hairan to guzre hain zamane ki rawish se
ye apni rawish thi ki pareshan nahin guzre
kya hum ko sataega gham-e-gardish-e-dauran
hum tujh se abhi ai gham-e-jaanan nahin guzre
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.