tufan se manjhdar se haT kar nahin dekha
tūfān se mañjhdār se haT kar nahīñ dekhā
dekhā bhī to sāhil se lipaT kar nahīñ dekhā
patthar bhī the kāñTe bhī bahut rāh-e-talab meñ
phir bhī kabhī is raah se kaT kar nahīñ dekhā
kashkol-e-mohabbat meñ ḳhazāne the vafā ke
tū ne kabhī dāman se lipaT kar nahīñ dekhā
me.ār-e-tamannā tirā pindār-e-takabbur
ham ne bhī to me.aar se haT kar nahīñ dekhā
paanī pe jo qabza kiyā afvāj-e-sitam ne
pyāsoñ ne bhī dariyā ko palaT kar nahīñ dekhā
har kūcha-o-bāzār ne diiñ laakh sadā.eñ
lekin tire shaidā ne palaT kar nahīñ dekhā
vus.at rahī nazroñ meñ rakhā dil bhī kushāda
'āshūr' ne duniyā ko simaT kar nahīñ dekhā
tufan se manjhdar se haT kar nahin dekha
dekha bhi to sahil se lipaT kar nahin dekha
patthar bhi the kanTe bhi bahut rah-e-talab mein
phir bhi kabhi is rah se kaT kar nahin dekha
kashkol-e-mohabbat mein KHazane the wafa ke
tu ne kabhi daman se lipaT kar nahin dekha
mear-e-tamanna tera pindar-e-takabbur
hum ne bhi to mear se haT kar nahin dekha
pani pe jo qabza kiya afwaj-e-sitam ne
pyason ne bhi dariya ko palaT kar nahin dekha
har kucha-o-bazar ne din lakh sadaen
lekin tere shaida ne palaT kar nahin dekha
wusat rahi nazron mein rakha dil bhi kushada
'ashur' ne duniya ko simaT kar nahin dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.