tufan tham chuka hai magar jagte raho
tūfān tham chukā hai magar jāgte raho
kis vaqt kī hai kis ko ḳhabar jāgte raho
sho.ale bujhā ke ham-safaro mutma.in na ho
poshīda raakh meñ hai sharar jāgte raho
ab raushnī meñ bhī hai añdheroñ kā makr-o-fan
kyā e'tibār-e-shām-o-sahar jāgte raho
har zarra-e-chaman meñ hai la.al-o-guhar kā rang
luTne na paa.eñ la.al-o-guhar jāgte raho
ab raat ḳhud hai apnī siyāhī se be-qarār
āvāz de rahī hai sahar jāgte raho
'sāġhar' ye ġham kī raat ye rāhoñ ke pech-o-ḳham
dushman bhī hai sharīk-e-safar jāgte raho
tufan tham chuka hai magar jagte raho
kis waqt ki hai kis ko KHabar jagte raho
shoale bujha ke ham-safaro mutmain na ho
poshida rakh mein hai sharar jagte raho
ab raushni mein bhi hai andheron ka makr-o-fan
kya e'tibar-e-sham-o-sahar jagte raho
har zarra-e-chaman mein hai lal-o-guhar ka rang
luTne na paen lal-o-guhar jagte raho
ab raat KHud hai apni siyahi se be-qarar
aawaz de rahi hai sahar jagte raho
'saghar' ye gham ki raat ye rahon ke pech-o-KHam
dushman bhi hai sharik-e-safar jagte raho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.