tufani-e-hayat zara dekhte chalo
tūfānī-e-hayāt zarā dekhte chalo
nākām-o-be-sabāt zarā dekhte chalo
nikle ho kis taraf ki muqābil meñ aarzū
ġham aur kā.enāt zarā dekhte chalo
ḳhanjar-ba-kaf khaḌā hai sar-e-rāh īsā-dam
nairangī-e-hayāt zarā dekhte chalo
hal-mim-mazīd ke the izāfe tamām shab
andoh kī barāt zarā dekhte chalo
ye kyā ki kaj-ravī hī banā sheva-e-avām
bechain pul-sirāt zarā dekhte chalo
marhūm dil ke saare fasāne hue tamām
shak ho to mere saath zarā dekhte chalo
'farhat' raqīb kab ke tasallī bhī pā chuke
haañ dostoñ ke ghaat zarā dekhte chalo
tufani-e-hayat zara dekhte chalo
nakaam-o-be-sabaat zara dekhte chalo
nikle ho kis taraf ki muqabil mein aarzu
gham aur kaenat zara dekhte chalo
KHanjar-ba-kaf khaDa hai sar-e-rah isa-dam
nairangi-e-hayat zara dekhte chalo
hal-mim-mazid ke the izafe tamam shab
andoh ki baraat zara dekhte chalo
ye kya ki kaj-rawi hi bana shewa-e-awam
bechain pul-siraat zara dekhte chalo
marhum dil ke sare fasane hue tamam
shak ho to mere sath zara dekhte chalo
'farhat' raqib kab ke tasalli bhi pa chuke
han doston ke ghat zara dekhte chalo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.