tul de kar mere fasane ko
tuul de kar mire fasāne ko
ḳhud simaTnā paḌā zamāne ko
farq-e-nāz-o-niyāz mere baad
kaun samjhā.egā zamāne ko
kaise kah duuñ ki dil malūl nahīñ
lab taraste haiñ muskurāne ko
ḳhud badal jā.egā nizām-e-hayāt
tum sahārā na do zamāne ko
merī bedāriyāñ thiiñ mujh tak hī
niiñd kyoñ aa ga.ī zamāne ko
us se pūchho 'atīq' vaj.h-e-hayāt
jis ne chheḌā hai is fasāne ko
tul de kar mere fasane ko
KHud simaTna paDa zamane ko
farq-e-naz-o-niyaz mere baad
kaun samjhaega zamane ko
kaise kah dun ki dil malul nahin
lab taraste hain muskurane ko
KHud badal jaega nizam-e-hayat
tum sahaara na do zamane ko
meri bedariyan thin mujh tak hi
nind kyon aa gai zamane ko
us se puchho 'atiq' wajh-e-hayat
jis ne chheDa hai is fasane ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.