tur dekha bhi nahin parda-kushai bhi nahin
tuur dekhā bhī nahīñ parda-kushā.ī bhī nahīñ
hosh khoyā bhī nahīñ jaan gañvā.ī bhī nahīñ
rahbar-e-'arsh-e-mua’allā kī savārī pohñchī
aur madīne meñ abhī koī nidā.ī bhī nahīñ
pā-e-dil-basta-e-zanjīr-e-nazar hotā gayā
aur qismat meñ kisī taur rihā.ī bhī nahīñ
mere dāman pe ye kis raah se chhīñTeñ aa.iiñ
dāstāñ bar-sar-e-mahfil to sunā.ī bhī nahīñ
merī tanhā.ī ke sannāTe meñ larzāñ hai sukūt
sūrat-e-qais to vahshat ne dikhā.ī bhī nahīñ
ye faqat vāqi'a-e-dār se ḳhūñ-bār huī
ḳhūñ-tarashshoh se to dīvār sajā.ī bhī nahīñ
tur dekha bhi nahin parda-kushai bhi nahin
hosh khoya bhi nahin jaan ganwai bhi nahin
rahbar-e-'arsh-e-mua’alla ki sawari pohnchi
aur madine mein abhi koi nidai bhi nahin
pa-e-dil-basta-e-zanjir-e-nazar hota gaya
aur qismat mein kisi taur rihai bhi nahin
mere daman pe ye kis rah se chhinTen aain
dastan bar-sar-e-mahfil to sunai bhi nahin
meri tanhai ke sannaTe mein larzan hai sukut
surat-e-qais to wahshat ne dikhai bhi nahin
ye faqat waqi'a-e-dar se KHun-bar hui
KHun-tarashshoh se to diwar sajai bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.