tur par kya munhasir hai jis taraf jata hun main
tur par kya munhasir hai jis taraf jata hun main
Fazal Husain Sabir
MORE BYFazal Husain Sabir
tuur par kyā munhasir hai jis taraf jaatā huuñ maiñ
tere jalve kī jhalak har chiiz meñ paatā huuñ maiñ
ālam-e-ġhurbat meñ tanhā.ī se ghabrātā huuñ maiñ
yād-e-ahbāb-e-vatan se dil ko bahlātā huuñ maiñ
haa.e mastī meñ nahīñ rahtā zabāñ par iḳhtiyār
bātoñ bātoñ meñ na kahne kī bhī kah jaatā huuñ maiñ
ai adam ke jaane vaalo koī dam kī der hai
musta.id huuñ maiñ bhī aane ke liye aatā huuñ maiñ
manzil-e-maqsūd tak pahuñchūñ yahī dhun hai mujhe
dam nahīñ letā kahīñ baḌhtā chalā jaatā huuñ maiñ
muḳhtasar rūdād hai ye be-qarārī kī mirī
ḳhud taḌap kar dekhne vāloñ ko taḌpātā huuñ maiñ
kyā kisī kā husn hai ġhārat-gar-e-tāb-o-tavāñ
dekhte hī ik jhalak behosh ho jaatā huuñ maiñ
merī hastī un kī mahfil meñ garāñ-ḳhātir nahīñ
sūrat-e-bād-e-sabā jaatā huuñ maiñ aatā huuñ maiñ
de rahe haiñ kyā mujhe jiine ke ta.ane baar baar
nā-munāsib hai mirā jiinā to mar jaatā huuñ maiñ
ahl-e-mahfil ko sunātā huuñ mazāmīn-e-bahār
tab-e-rañgīñ ke zarīye phuul barsātā huuñ maiñ
garche qatra thā magar dariyā meñ milne ke sivā
mauj ban kar sat.h par dariyā kī lahrātā huuñ maiñ
bār-e-ḳhātir hai agar mahfil meñ merā baiThnā
kaisī mahfil lo zamāne se uThā jaatā huuñ maiñ
dar-haqīqat mere haq meñ maut kā paiġhām thā
un kā ye kahnā ḳhudā-hāfiz tirā jaatā huuñ maiñ
nāḳhun-e-tadbīr se taqdīr kā letā huuñ kaam
apnī har uljhī huī gutthī ko suljhātā huuñ maiñ
merī istid.ā pe mujh ko Tālne ke vāste
kah diyā zālim ne achchhā tum chalo aatā huuñ maiñ
qaum par ho kar tasadduq qaum par ho kar nisār
ġhāziyān-e-qaum kī tārīḳh dohrātā huuñ maiñ
kyuuñ na ho 'sābir' mire sher-o-suḳhan meñ puḳhtagī
mo'taqid jab hazrat-e-'nāsiḳh' kā kahlātā huuñ maiñ
tur par kya munhasir hai jis taraf jata hun main
tere jalwe ki jhalak har chiz mein pata hun main
aalam-e-ghurbat mein tanhai se ghabraata hun main
yaad-e-ahbab-e-watan se dil ko bahlata hun main
hae masti mein nahin rahta zaban par iKHtiyar
baaton baaton mein na kahne ki bhi kah jata hun main
ai adam ke jaane walo koi dam ki der hai
mustaid hun main bhi aane ke liye aata hun main
manzil-e-maqsud tak pahunchun yahi dhun hai mujhe
dam nahin leta kahin baDhta chala jata hun main
muKHtasar rudad hai ye be-qarari ki meri
KHud taDap kar dekhne walon ko taDpata hun main
kya kisi ka husn hai ghaarat-gar-e-tab-o-tawan
dekhte hi ek jhalak behosh ho jata hun main
meri hasti un ki mahfil mein garan-KHatir nahin
surat-e-baad-e-saba jata hun main aata hun main
de rahe hain kya mujhe jine ke tane bar bar
na-munasib hai mera jina to mar jata hun main
ahl-e-mahfil ko sunata hun mazamin-e-bahaar
tab-e-rangin ke zariye phul barsata hun main
garche qatra tha magar dariya mein milne ke siwa
mauj ban kar sath par dariya ki lahraata hun main
bar-e-KHatir hai agar mahfil mein mera baiThna
kaisi mahfil lo zamane se uTha jata hun main
dar-haqiqat mere haq mein maut ka paigham tha
un ka ye kahna KHuda-hafiz tera jata hun main
naKHun-e-tadbir se taqdir ka leta hun kaam
apni har uljhi hui gutthi ko suljhata hun main
meri istida pe mujh ko Talne ke waste
kah diya zalim ne achchha tum chalo aata hun main
qaum par ho kar tasadduq qaum par ho kar nisar
ghaziyan-e-qaum ki tariKH dohraata hun main
kyun na ho 'sabir' mere sher-o-suKHan mein puKHtagi
mo'taqid jab hazrat-e-'nasiKH' ka kahlata hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.