TuT jaane ka bhi imkan tha tum jaante the
TuuT jaane kā bhī imkān thā tum jānte the
dil meñ sab kāñch kā sāmān thā tum jānte the
rāhat-e-qurb-e-rifāqat ke sabab zinda haiñ
varna jiinā kahāñ āsān thā tum jānte the
lazzat-e-dard se sairāb mujhe is ne kiyā
mujh pe ik shaḳhs kā ehsān thā tum jānte the
koī āvāz bhī patthar nahīñ kartī thī mujhe
apne jañgal kā maiñ sultān thā tum jānte the
kitnā mushkil thā kisī but kī parastish karnā
maiñ to kāfir bhī musalmān thā tum jānte the
zindagī mere tasarruf meñ thī vo kyā kartā
merī buniyād meñ tūfān thā tum jānte the
apne hāthoñ se likhūñ aur tumheñ roz paḌhūñ
dil meñ bas ek hī armān thā tum jānte the
ham-safar us ke the aur raḳht-e-safar bhī us kā
maiñ to bas be-sar-o-sāmān thā tum jānte the
ab use dard kī dahlīz pe chhoḌ aa.e ho
vo to haarā huā insān thā tum jānte the
jis kī ḳhushbū se mo.attar mere ash.ār the 'qais'
ek hī phuul mirī jaan thā tum jānte the
TuT jaane ka bhi imkan tha tum jaante the
dil mein sab kanch ka saman tha tum jaante the
rahat-e-qurb-e-rifaqat ke sabab zinda hain
warna jina kahan aasan tha tum jaante the
lazzat-e-dard se sairab mujhe is ne kiya
mujh pe ek shaKHs ka ehsan tha tum jaante the
koi aawaz bhi patthar nahin karti thi mujhe
apne jangal ka main sultan tha tum jaante the
kitna mushkil tha kisi but ki parastish karna
main to kafir bhi musalman tha tum jaante the
zindagi mere tasarruf mein thi wo kya karta
meri buniyaad mein tufan tha tum jaante the
apne hathon se likhun aur tumhein roz paDhun
dil mein bas ek hi arman tha tum jaante the
ham-safar us ke the aur raKHt-e-safar bhi us ka
main to bas be-sar-o-saman tha tum jaante the
ab use dard ki dahliz pe chhoD aae ho
wo to haara hua insan tha tum jaante the
jis ki KHushbu se moattar mere ashaar the 'qais'
ek hi phul meri jaan tha tum jaante the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.