TuT kar aur bhi gudaz hua
TuuT kar aur bhī gudāz huā
dil hamārā navā-e-sāz huā
aañkh jhapkī ki aa.ina TuuTā
hijr kā silsila darāz huā
tere parde meñ apnī ḳhvāhish kī
maiñ kahāñ ḳhud se be-niyāz huā
kasrat-e-vird-e-ism-e-āzam se
munkashif dil pe harf-e-rāz huā
dhuup oḌhe rahā badan barsoñ
tab kahīñ jā ke imtiyāz huā
TuT kar aur bhi gudaz hua
dil hamara nawa-e-saz hua
aankh jhapki ki aaina TuTa
hijr ka silsila daraaz hua
tere parde mein apni KHwahish ki
main kahan KHud se be-niyaz hua
kasrat-e-wird-e-ism-e-azam se
munkashif dil pe harf-e-raaz hua
dhup oDhe raha badan barson
tab kahin ja ke imtiyaz hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.