TuT kar bikhre hain sapne sahn mein
TuuT kar bikhre haiñ sapne sahn meñ
kis ne khīñche haiñ ye raste sahn meñ
kaun detā hai udāsī ko fareb
kaun ugātā hai ye chehre sahn meñ
koī samjhā hī nahīñ ik lafz bhī
gūñjte haiñ kitne lahje sahn meñ
ik shajar bhī naam ko ghar meñ nahīñ
uḌ rahe haiñ ḳhushk patte sahn meñ
jaane kab TuuTe tilism-e-tīrgī
jaane kab utreñ savere sahn meñ
chhoḌ jaatā hai koī āñkheñ yahāñ
khol jaatā hai darīche sahn meñ
raat phir 'ausāf' yaad aayā koī
raat jaise phuul mahke sahn meñ
TuT kar bikhre hain sapne sahn mein
kis ne khinche hain ye raste sahn mein
kaun deta hai udasi ko fareb
kaun ugata hai ye chehre sahn mein
koi samjha hi nahin ek lafz bhi
gunjte hain kitne lahje sahn mein
ek shajar bhi nam ko ghar mein nahin
uD rahe hain KHushk patte sahn mein
jaane kab TuTe tilism-e-tirgi
jaane kab utren sawere sahn mein
chhoD jata hai koi aankhen yahan
khol jata hai dariche sahn mein
raat phir 'ausaf' yaad aaya koi
raat jaise phul mahke sahn mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.