TuT kar girti fasilon par hawa ka shor tha
TuuT kar girtī fasīloñ par havā kā shor thā
raat bhar shahr-e-badan meñ kis balā kā shor thā
dhuup niklī to vahī pyāsī zamīñ ke hoñT the
bastiyoñ meñ duur tak gahrī ghaTā kā shor thā
tā.ir-e-ḳhushbū ke haq meñ hijrateñ virsa huiiñ
ḳhema-gāh-e-gul meñ vo bād-e-sabā kā shor thā
shahr saarā ḳhauf ke gūñge qile meñ qaid thā
ik ḳhudā-e-vaqt kī hākim sadā kā shor thā
vo faqat ik shor thā ham par pas-e-maqtal khulā
halqa-e-yārāñ meñ jo rasm-e-vafā kā shor thā
TuT kar girti fasilon par hawa ka shor tha
raat bhar shahr-e-badan mein kis bala ka shor tha
dhup nikli to wahi pyasi zamin ke honT the
bastiyon mein dur tak gahri ghaTa ka shor tha
tair-e-KHushbu ke haq mein hijraten wirsa huin
KHema-gah-e-gul mein wo baad-e-saba ka shor tha
shahr sara KHauf ke gunge qile mein qaid tha
ek KHuda-e-waqt ki hakim sada ka shor tha
wo faqat ek shor tha hum par pas-e-maqtal khula
halqa-e-yaran mein jo rasm-e-wafa ka shor tha
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 549)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.