TuT kar ishq kiya hai bhi nahin bhi shayad
TuuT kar ishq kiyā hai bhī nahīñ bhī shāyad
mujh se ye kaam huā hai bhī nahīñ bhī shāyad
ai mirī aañkh kī dahlīz pe dam toḌte ḳhvāb
mujh ko afsos tirā hai bhī nahīñ bhī shāyad
merī āñkhoñ meñ hai vīrānī bhī shādābī bhī
ḳhvāb kā peḌ harā hai bhī nahīñ bhī shāyad
dil meñ tashkīk huī tujh ko na chhū kar kyā kyā
aise taqve kī jazā hai bhī nahīñ bhī shāyad
maiñ huuñ jis ahd-e-pur-āshob meñ zinda 'sayyad'
is meñ ab honā mirā hai bhī nahīñ bhī shāyad
TuT kar ishq kiya hai bhi nahin bhi shayad
mujh se ye kaam hua hai bhi nahin bhi shayad
ai meri aankh ki dahliz pe dam toDte KHwab
mujh ko afsos tera hai bhi nahin bhi shayad
meri aankhon mein hai virani bhi shadabi bhi
KHwab ka peD hara hai bhi nahin bhi shayad
dil mein tashkik hui tujh ko na chhu kar kya kya
aise taqwe ki jaza hai bhi nahin bhi shayad
main hun jis ahd-e-pur-ashob mein zinda 'sayyad'
is mein ab hona mera hai bhi nahin bhi shayad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.