TuT kar KHud bikhar gae hain aap
TuuT kar ḳhud bikhar ga.e haiñ aap
kis ke saa.e se Dar ga.e haiñ aap
mujh ko dikhlā rahe haiñ ā.īna
apnī had se guzar ga.e haiñ aap
ab jahāñ chāheñ jā.iye sāhab
mere dil se utar ga.e haiñ aap
dil ne kyā kyā na kuchh duā.eñ diiñ
mere ghar jab Thahar ga.e haiñ aap
maiñ ne jab bhī zabān kholī hai
dil churā kar mukar ga.e haiñ aap
kis taraf jā.ūñ maiñ kahāñ DhūñDūñ
kaun jaane kidhar ga.e haiñ aap
usī va.ade pe jī rahī hai 'sabā'
ek va.ada jo kar ga.e haiñ aap
TuT kar KHud bikhar gae hain aap
kis ke sae se Dar gae hain aap
mujh ko dikhla rahe hain aaina
apni had se guzar gae hain aap
ab jahan chahen jaiye sahab
mere dil se utar gae hain aap
dil ne kya kya na kuchh duaen din
mere ghar jab Thahar gae hain aap
main ne jab bhi zaban kholi hai
dil chura kar mukar gae hain aap
kis taraf jaun main kahan DhunDun
kaun jaane kidhar gae hain aap
usi wade pe ji rahi hai 'saba'
ek wada jo kar gae hain aap
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.