TuT raha hai tan kya kahiye
TuuT rahā hai tan kyā kahiye
soch kā bhārī-pan kyā kahiye
kyā ġham hai kaise batlā.eñ
kaisī hai uljhan kyā kahiye
ḳhushbū aur rangoñ kī duniyā
ḳhvāboñ kā gulban kyā kahiye
jeboñ ke ḳhālī mausam meñ
kyā kyā chāhe man kyā kahiye
yādoñ kī guḌiyoñ se khele
būḌhoñ kā bachpan kyā kahiye
TuT raha hai tan kya kahiye
soch ka bhaari-pan kya kahiye
kya gham hai kaise batlaen
kaisi hai uljhan kya kahiye
KHushbu aur rangon ki duniya
KHwabon ka gulban kya kahiye
jebon ke KHali mausam mein
kya kya chahe man kya kahiye
yaadon ki guDiyon se khele
buDhon ka bachpan kya kahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.