TuTa jo aasman se wo tara nahin hun main
TuuTā jo āsmāñ se vo taarā nahīñ huuñ maiñ
jugnū huuñ dasht-e-ġham kā añdherā nahīñ huuñ maiñ
shāyad ki baiThe baiThe maiñ patthar meñ Dhal ga.ī
kyā dekhte haiñ log tamāshā nahīñ huuñ maiñ
parchhā.īñ kī tarah se vo rahtā hai ās-pās
tanhā.iyo yuuñ kahne ko tanhā nahīñ huuñ maiñ
barbād kar ke mujh ko sitamgar milegā kyā
insāñ huuñ koī sañg kā TukḌā nahīñ huuñ maiñ
ai zindagī se khelne vaalo ye jaan lo
khelo na mujh se koī khilaunā nahīñ huuñ maiñ
yuuñ jān-o-rūh karb-e-musalsal ke haiñ shikār
zinda huuñ dekhne ko ye zinda nahīñ huuñ maiñ
uTThegī kab karam kī ghaTā mujh ko Dhāñpne
yārab batā de kyā tirā banda nahīñ huuñ maiñ
TuTa jo aasman se wo tara nahin hun main
jugnu hun dasht-e-gham ka andhera nahin hun main
shayad ki baiThe baiThe main patthar mein Dhal gai
kya dekhte hain log tamasha nahin hun main
parchhain ki tarah se wo rahta hai aas-pas
tanhaiyo yun kahne ko tanha nahin hun main
barbaad kar ke mujh ko sitamgar milega kya
insan hun koi sang ka TukDa nahin hun main
ai zindagi se khelne walo ye jaan lo
khelo na mujh se koi khilauna nahin hun main
yun jaan-o-ruh karb-e-musalsal ke hain shikar
zinda hun dekhne ko ye zinda nahin hun main
uTThegi kab karam ki ghaTa mujh ko Dhanpne
yarab bata de kya tera banda nahin hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.