TuTa TuTa sa mere sath paDa tha wo bhi
TuuTā TuuTā sā mire saath paḌā thā vo bhī
mere ham-dosh havāoñ se laḌā thā vo bhī
maiñ bhī iz.hār-e-tamannā pe huā thā nādim
sar jhukā.e hue kuchh soch rahā thā vo bhī
jaane kyā baat thī bhīgā nahīñ dāman us kā
raat ḳhvāhish ke samandar meñ girā thā vo bhī
vo milā thā mirī takmīl kī ḳhātir mujh se
chand lamhoñ meñ magar TuuT gayā thā vo bhī
ajnabiyyat kī vo kyā saḳht ghaḌī aa.ī thī
mujh ko ġhairoñ kī tarah dekh rahā thā vo bhī
apnī hastī bhī havāoñ meñ kahīñ kho baiThā
ik bagūle kī tarah yuuñ to uThā thā vo bhī
TuTa TuTa sa mere sath paDa tha wo bhi
mere ham-dosh hawaon se laDa tha wo bhi
main bhi izhaar-e-tamanna pe hua tha nadim
sar jhukae hue kuchh soch raha tha wo bhi
jaane kya baat thi bhiga nahin daman us ka
raat KHwahish ke samandar mein gira tha wo bhi
wo mila tha meri takmil ki KHatir mujh se
chand lamhon mein magar TuT gaya tha wo bhi
ajnabiyyat ki wo kya saKHt ghaDi aai thi
mujh ko ghairon ki tarah dekh raha tha wo bhi
apni hasti bhi hawaon mein kahin kho baiTha
ek bagule ki tarah yun to uTha tha wo bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.