TuTe hain jab se zor junun ki tanab ke
TuuTe haiñ jab se zor junūñ kī tanāb ke
hasrat se dekhtī huuñ ye ḳheme shabāb ke
ai dil na chheḌ zikr usī ḳhush-ḳhirām kā
maiñ pī chukī huuñ ghol ke sho.ale gulāb ke
zindān-e-bazm-e-shauq meñ aise bhī riñd haiñ
tishna rahe jo pī ke samundar sharāb ke
ye bazm-e-chashm-o-lab hai mirī jaañ abhī na jā
baḌhne de rābte ye savāl-o-javāb ke
'mānī' na aaj pūchh vo kaise badal ga.e
rāh-e-junūñ meñ naqsh-e-qadam haiñ janāb ke
TuTe hain jab se zor junun ki tanab ke
hasrat se dekhti hun ye KHeme shabab ke
ai dil na chheD zikr usi KHush-KHiram ka
main pi chuki hun ghol ke shoale gulab ke
zindan-e-bazm-e-shauq mein aise bhi rind hain
tishna rahe jo pi ke samundar sharab ke
ye bazm-e-chashm-o-lab hai meri jaan abhi na ja
baDhne de rabte ye sawal-o-jawab ke
'mani' na aaj puchh wo kaise badal gae
rah-e-junun mein naqsh-e-qadam hain janab ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.