TuTe hain kaise KHwahishon ke aainon ko dekh
TuuTe haiñ kaise ḳhvāhishoñ ke ā.inoñ ko dekh
palkoñ kī tah meñ bikhrī huī kirchiyoñ ko dekh
maiñ huuñ tirā hī aks mire rañg par na jā
āñkhoñ meñ jhāñk apnī hī tanhā.iyoñ ko dekh
ye āsmāñ ke badle hue rañg ġhaur kar
in mausamoñ ke biphre hue tevaroñ ko dekh
sun to dar-e-ḳhayāl pe fardā kī dastakeñ
ḳhud kā hisār toḌ ke jaatī rutoñ ko dekh
galiyoñ meñ ghūmtī haiñ hazāroñ kahāniyāñ
chehroñ pe naqsh vaqt kī pahnā.iyoñ ko dekh
ik ik palak pe chhā.ī hai mahrūmiyoñ kī shaam
zabt-e-suḳhan kī aag meñ jalte laboñ ko dekh
kahtī hai 'shām' kuchh to makānoñ kī ḳhāmushī
be-mudda.ā nahīñ haiñ khule rauzanoñ ko dekh
TuTe hain kaise KHwahishon ke aainon ko dekh
palkon ki tah mein bikhri hui kirchiyon ko dekh
main hun tera hi aks mere rang par na ja
aankhon mein jhank apni hi tanhaiyon ko dekh
ye aasman ke badle hue rang ghaur kar
in mausamon ke biphre hue tewaron ko dekh
sun to dar-e-KHayal pe farda ki dastaken
KHud ka hisar toD ke jati ruton ko dekh
galiyon mein ghumti hain hazaron kahaniyan
chehron pe naqsh waqt ki pahnaiyon ko dekh
ek ek palak pe chhai hai mahrumiyon ki sham
zabt-e-suKHan ki aag mein jalte labon ko dekh
kahti hai 'sham' kuchh to makanon ki KHamushi
be-muddaa nahin hain khule rauzanon ko dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.