TuTe hue gilas ko ab taqche mein rakh
TuuTe hue gilās ko ab tāqche meñ rakh
phir apnī pyaas jalte hue rāste meñ rakh
jo aks ban ke baiThā huā hai use nikāl
kam-fahm apne aap ko ab aa.ine meñ rakh
ye raat ban ga.ī hai pachhal-pā.iyoñ kī raat
sūraj utaar aur ise ik diye meñ rakh
ik shubh ghaḌī ki jis meñ ho qausain kā milan
ai zā.icha-navīs mire zā.iche meñ rakh
qauseñ tirā tavāf kareñge samajh ye baat
markaz meñ rah vajūd ko bhī dā.ere meñ rakh
maiñ shaiḳh-e-tā.ifa huuñ na.e ahd kā 'riyāz'
lā apnī shā.irī ko mire zāviye meñ rakh
TuTe hue gilas ko ab taqche mein rakh
phir apni pyas jalte hue raste mein rakh
jo aks ban ke baiTha hua hai use nikal
kam-fahm apne aap ko ab aaine mein rakh
ye raat ban gai hai pachhal-paiyon ki raat
suraj utar aur ise ek diye mein rakh
ek shubh ghaDi ki jis mein ho qausain ka milan
ai zaicha-nawis mere zaiche mein rakh
qausen tera tawaf karenge samajh ye baat
markaz mein rah wajud ko bhi daere mein rakh
main shaiKH-e-taifa hun nae ahd ka 'riyaz'
la apni shairi ko mere zawiye mein rakh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.