TuTe hue khilaune nishani mein de gaya
TuuTe hue khilaune nishānī meñ de gayā
dhoka mujhe vo ain javānī meñ de gayā
ye aur baat misrā-e-ūlā meñ kuchh nahīñ
lekin vo husn misra-e-sānī meñ de gayā
dariyā ne tishna-lab se siyāsat ajiib kī
kuchh zahr bhī milā ke vo paanī meñ de gayā
laayā hazār ḳhushiyāñ mujhe sauñpne magar
phir kyuuñ ye rañj resha-davānī meñ de gayā
karnā paḌā na ham ko za.īfī kā intizār
vo maut kā mazā bhī javānī meñ de gayā
'anvar' kā haal aa ke koī dekh le zarā
kāġhaz ke phuul koī nishānī meñ de gayā
TuTe hue khilaune nishani mein de gaya
dhoka mujhe wo ain jawani mein de gaya
ye aur baat misra-e-ula mein kuchh nahin
lekin wo husn misra-e-sani mein de gaya
dariya ne tishna-lab se siyasat ajib ki
kuchh zahr bhi mila ke wo pani mein de gaya
laya hazar KHushiyan mujhe saunpne magar
phir kyun ye ranj resha-dawani mein de gaya
karna paDa na hum ko zaifi ka intizar
wo maut ka maza bhi jawani mein de gaya
'anwar' ka haal aa ke koi dekh le zara
kaghaz ke phul koi nishani mein de gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.