TuTe hue paron se parwaz kar rahe hain
TuuTe hue paroñ se parvāz kar rahe haiñ
ham phir na.e safar kā āġhāz kar rahe haiñ
sach bolne lage haiñ jab se zabāñ milī hai
har shaḳhs kā yahāñ ham e.azāz kar rahe haiñ
ā.īna paḌh liyā hai is baar ham sabhī ne
ḳhāmosh the jo kal tak āvāz kar rahe haiñ
bezār ho rahā hai jis dard se zamāna
us dard ko ham apnā dam-sāz kar rahe haiñ
muskān ke liye bhī majbūr ho ga.e ham
kis baat par na jaane phir naaz kar rahe haiñ
badnām kar diyā hai kuchh dostoñ ne jab se
ham dushmanoñ ko apnā hamrāz kar rahe haiñ
TuTe hue paron se parwaz kar rahe hain
hum phir nae safar ka aaghaz kar rahe hain
sach bolne lage hain jab se zaban mili hai
har shaKHs ka yahan hum eazaz kar rahe hain
aaina paDh liya hai is bar hum sabhi ne
KHamosh the jo kal tak aawaz kar rahe hain
bezar ho raha hai jis dard se zamana
us dard ko hum apna dam-saz kar rahe hain
muskan ke liye bhi majbur ho gae hum
kis baat par na jaane phir naz kar rahe hain
badnam kar diya hai kuchh doston ne jab se
hum dushmanon ko apna hamraaz kar rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.