TuTe paDte hain ye hain kis ke KHaridar tamam
TuuTe paḌte haiñ ye haiñ kis ke ḳharīdār tamām
sub.h se band haiñ kyuuñ misr ke bāzār tamām
ab rahā kaun jo dīdār tumhārā dekhe
parda uThte hī huī hasrat-e-dīdār tamām
ik jhalak dekh lī parde se to zālim ne kahā
luuT lī tū ne mire husn kī sarkār tamām
husn andāz adā naaz nigāheñ shoḳhī
dil mirā chhīn ke ban baiThe haiñ muḳhtār tamām
ab bhī apnā koī 'beḳhud' mujhe samjhā ki nahīñ
chhap ga.e ab to mire haal ke aḳhbār tamām
TuTe paDte hain ye hain kis ke KHaridar tamam
subh se band hain kyun misr ke bazar tamam
ab raha kaun jo didar tumhaara dekhe
parda uThte hi hui hasrat-e-didar tamam
ek jhalak dekh li parde se to zalim ne kaha
luT li tu ne mere husn ki sarkar tamam
husn andaz ada naz nigahen shoKHi
dil mera chhin ke ban baiThe hain muKHtar tamam
ab bhi apna koi 'beKHud' mujhe samjha ki nahin
chhap gae ab to mere haal ke aKHbar tamam
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 169)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.