TuTe taKHte par samundar par karne aae the
TuuTe taḳhte par samundar paar karne aa.e the
ham-safar tūfān-e-ġham se pyaar karne aa.e the
Dar ke jangal kī fazā se pīchhe pīchhe ho liye
log chhup kar qāfile par vaar karne aa.e the
is gunah par mil rahī hai sañg-sārī kī sazā
pattharoñ ko niiñd se bedār karne aa.e the
log samjhe apnī sachchā.ī kī ḳhātir jaan dī
varna ham to jurm kā iqrār karne aa.e the
vo bhī karb-e-ḳhud-bayānī meñ 'zafar' ġhaltāñ milā
jis se apnī zaat kā iz.hār karne aa.e the
TuTe taKHte par samundar par karne aae the
ham-safar tufan-e-gham se pyar karne aae the
Dar ke jangal ki faza se pichhe pichhe ho liye
log chhup kar qafile par war karne aae the
is gunah par mil rahi hai sang-sari ki saza
pattharon ko nind se bedar karne aae the
log samjhe apni sachchai ki KHatir jaan di
warna hum to jurm ka iqrar karne aae the
wo bhi karb-e-KHud-bayani mein 'zafar' ghaltan mila
jis se apni zat ka izhaar karne aae the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.