TuTi hui kashti ko kinare bhi mile hain
TuuTī huī kashtī ko kināre bhī mile haiñ
tūfān se duniyā ko sahāre bhī mile haiñ
aġhyār hī ḳhālī nahīñ aġhyār kī saf meñ
dekhā hai to kuchh dost hamāre bhī mile haiñ
chhalke haiñ jahāñ jaam tirī bazm meñ saaqī
kuchh log vahīñ pyaas ke maare bhī mile haiñ
piine se qadam yuuñ to bahak jaate haiñ lekin
kuchh paañv jamāne ke sahāre bhī mile haiñ
do paas kī nadiyoñ meñ rah-o-rasm nahīñ hai
hālāñki kināre se kināre bhī mile haiñ
duniyā ke jahāñ daaġh nazar aa.e haiñ dil meñ
us dil meñ ka.ī zaḳhm tumhāre bhī mile haiñ
khoyā hai agar ek chamaktā huā sūraj
badle meñ ka.ī laakh sitāre bhī mile haiñ
duniyā meñ koī jaan se pyārā nahīñ hotā
kuchh log magar jaan se pyāre bhī mile haiñ
duniyā ko 'shamīm' aaj ke andāz-e-ġhazal meñ
kuchh zinda masā.il ke ishāre bhī mile haiñ
TuTi hui kashti ko kinare bhi mile hain
tufan se duniya ko sahaare bhi mile hain
aghyar hi KHali nahin aghyar ki saf mein
dekha hai to kuchh dost hamare bhi mile hain
chhalke hain jahan jam teri bazm mein saqi
kuchh log wahin pyas ke mare bhi mile hain
pine se qadam yun to bahak jate hain lekin
kuchh panw jamane ke sahaare bhi mile hain
do pas ki nadiyon mein rah-o-rasm nahin hai
haalanki kinare se kinare bhi mile hain
duniya ke jahan dagh nazar aae hain dil mein
us dil mein kai zaKHm tumhaare bhi mile hain
khoya hai agar ek chamakta hua suraj
badle mein kai lakh sitare bhi mile hain
duniya mein koi jaan se pyara nahin hota
kuchh log magar jaan se pyare bhi mile hain
duniya ko 'shamim' aaj ke andaz-e-ghazal mein
kuchh zinda masail ke ishaare bhi mile hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.