TuTi hui kashti pe bipharte hue girdab
TuuTī huī kashtī pe bipharte hue girdāb
allāh nigahbān tirā ai dil-e-betāb
jo mauj-e-havādis ke thapeḌoñ meñ palā ho
motī vahī hotā hai jahāñ meñ dur-e-nāyāb
phir aaj duāoñ meñ ghaTā maañg rahā hai
sūkhe hue tālāb meñ sahmā huā surḳhāb
ai zor-e-alī faqr-e-abūzar se baromand
be-zor tire sāmne har rustam-o-suhrāb
tiryāk ke kuuze meñ bharā zahr-e-halāhil
allāh-re mai-ḳhāna-e-maġhrib kī mai-e-nāb
dil toḌne vaale tujhe ma.alūm nahīñ hai
sūkhī huī āñkhoñ se ubal paḌte haiñ sailāb
naġhmāt se bezār muġhannī se gurezāñ
sāzoñ ko taras jaa.eñ na TuuTe hue mizrāb
tū apnī haqīqat kā shanāsā nahīñ varna
dariyā tire dāman meñ hai ai māhī-e-be-āb
'bazmī' ye jafāoñ kā sulagtā huā sahrā
allāh rakhe tujh ko zamāne meñ zafar-yāb
TuTi hui kashti pe bipharte hue girdab
allah nigahban tera ai dil-e-betab
jo mauj-e-hawadis ke thapeDon mein pala ho
moti wahi hota hai jahan mein dur-e-nayab
phir aaj duaon mein ghaTa mang raha hai
sukhe hue talab mein sahma hua surKHab
ai zor-e-ali faqr-e-abuzar se baromand
be-zor tere samne har rustam-o-suhrab
tiryak ke kuze mein bhara zahr-e-halahil
allah-re mai-KHana-e-maghrib ki mai-e-nab
dil toDne wale tujhe malum nahin hai
sukhi hui aankhon se ubal paDte hain sailab
naghmat se bezar mughanni se gurezan
sazon ko taras jaen na TuTe hue mizrab
tu apni haqiqat ka shanasa nahin warna
dariya tere daman mein hai ai mahi-e-be-ab
'bazmi' ye jafaon ka sulagta hua sahra
allah rakhe tujh ko zamane mein zafar-yab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.