TuTte hi dam diyon ka ek dhuan paida hua
TūTte hī dam diyoñ kā ik dhuāñ paidā huā
soch ke sāgar se niilā āsmāñ paidā huā
ek muddat se yahī to sochtā huuñ rāt-din
maiñ kahāñ kā aadmī thā aur kahāñ paidā huā
dhuup kī shiddat ne āḳhir haar thak kar maan lī
ham jahāñ Thahre vahīñ par sā.ebāñ paidā huā
tīrgī-e-shab ujāloñ meñ badal kar rah ga.ī
āñsuoñ meñ ik jamāl-e-kahkashāñ paidā huā
TuTte hi dam diyon ka ek dhuan paida hua
soch ke sagar se nila aasman paida hua
ek muddat se yahi to sochta hun raat-din
main kahan ka aadmi tha aur kahan paida hua
dhup ki shiddat ne aaKHir haar thak kar man li
hum jahan Thahre wahin par saeban paida hua
tirgi-e-shab ujalon mein badal kar rah gai
aansuon mein ek jamal-e-kahkashan paida hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.