TuTte jism ke mahtab bikhar ja mujh mein
TūTte jism ke mahtāb bikhar jā mujh meñ
maiñ chaḌhī raat kā dariyā huuñ utar jā mujh meñ
maiñ tirī yaad ke sāvan ko kahāñ barsā.ūñ
ab kī rut meñ koī bādal bhī na garjā mujh meñ
jaate qadmoñ kī koī chaap hī shāyad sun luuñ
Dūbte lamhoñ kī bārāt ubhar jā mujh meñ
jaane maiñ kaun se patjhaḌ meñ huā thā barbād
girte pattoñ kī ik āvāz hai har jā mujh meñ
koī mahkār hai ḳhushbū kī na rañgoñ kī lakīr
ek sahrā huuñ kahīñ se bhī guzar jā mujh meñ
ḳhatm hone de mire saath hī apnā bhī vajūd
tū bhī ik naqsh ḳharābe kā hai mar jā mujh meñ
koī har-gām 'musavvir' ye sadā detā hai
maiñ tirī āḳhirī manzil huuñ Thahar jā mujh meñ
TuTte jism ke mahtab bikhar ja mujh mein
main chaDhi raat ka dariya hun utar ja mujh mein
main teri yaad ke sawan ko kahan barsaun
ab ki rut mein koi baadal bhi na garja mujh mein
jate qadmon ki koi chap hi shayad sun lun
Dubte lamhon ki baraat ubhar ja mujh mein
jaane main kaun se patjhaD mein hua tha barbaad
girte patton ki ek aawaz hai har ja mujh mein
koi mahkar hai KHushbu ki na rangon ki lakir
ek sahra hun kahin se bhi guzar ja mujh mein
KHatm hone de mere sath hi apna bhi wajud
tu bhi ek naqsh KHarabe ka hai mar ja mujh mein
koi har-gam 'musawwir' ye sada deta hai
main teri aaKHiri manzil hun Thahar ja mujh mein
- Book : Manghii dhire chal (Pg. 78)
- Author : Musavvir Sabzwari
- Publication : Nazish Book Center (1971)
- Edition : 1971
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.