TuTte KHwab ki tabir se andaza hua
TūTte ḳhvāb kī ta.abīr se andāza huā
mujh ko shāyad zarā tāḳhīr se andāza huā
donoñ-jānib se musalmān the marne vaale
aap ko nāra-e-takbīr se andāza huā
mere purkhoñ kā makāñ mā.il-e-mismārī hai
habs meñ TūTte shahtīr se andāza huā
jhuuT ke paañv bhī hote haiñ agar tū bole
aaj mujh ko tirī taqrīr se andāza huā
aap jaadū se banā lete haiñ miTTī sonā
aap kī phailtī jāgīr se andāza huā
mere kamre meñ koī aayā nahīñ ba.ad mire
gard-ālūd sī tasvīr se andāza huā
aap to apnī ḳhushī se haiñ ġhulām ibn-e-ġhulām
aap kī qīmtī zanjīr se andāza huā
TuTte KHwab ki tabir se andaza hua
mujh ko shayad zara taKHir se andaza hua
donon-jaanib se musalman the marne wale
aap ko nara-e-takbir se andaza hua
mere purkhon ka makan mail-e-mismari hai
habs mein TuTte shahtir se andaza hua
jhuT ke panw bhi hote hain agar tu bole
aaj mujh ko teri taqrir se andaza hua
aap jadu se bana lete hain miTTi sona
aap ki phailti jagir se andaza hua
mere kamre mein koi aaya nahin baad mere
gard-alud si taswir se andaza hua
aap to apni KHushi se hain ghulam ibn-e-ghulam
aap ki qimti zanjir se andaza hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.