TuTte rahna TuT ke phir murjhana bhi
TūTte rahnā TuuT ke phir murjhānā bhī
jaise bichhaḌnā aur bichhaḌte jaanā bhī
miTTī ho tum miTTī ban kar dikhlāo
patthar honā patthar sā ho jaanā bhī
pābandī Dar nafrat qaid na jaane kyā
muḌ kar dekhā us ne aur pahchānā bhī
mujh se tark-e-ta.alluq kā charchā karnā
merī galī meñ chhup-chhup ānā-jānā bhī
jhuuT kā sābit ho jaanā sach khul jaanā
raat pe parda karnā din kā aanā bhī
ulTī sīdhī bāteñ gaane mausīqī
mobile ne chhīnā piinā khānā bhī
titlī jaise uḌnā bal khānā ruknā
alhaḌ-pan kī fitrat hai iThlānā bhī
man-mānī shartoñ par haT-dharmī karnā
duurī qaa.em rakhnā pyaar jatānā bhī
din bhar tap kar sūraj ban jaa.e kundan
Dūbte vaqt kā manzar ḳhuub suhānā bhī
andhe kuñ.eñ ko jā-e-amāñ samjhe rahnā
ḳhud hī dard uThānā shor machānā bhī
soch samajh kar 'nūr' nahīñ kahtā phir bhī
hosh kī bāteñ kartā hai dīvāna bhī
TuTte rahna TuT ke phir murjhana bhi
jaise bichhaDna aur bichhaDte jaana bhi
miTTi ho tum miTTi ban kar dikhlao
patthar hona patthar sa ho jaana bhi
pabandi Dar nafrat qaid na jaane kya
muD kar dekha us ne aur pahchana bhi
mujh se tark-e-talluq ka charcha karna
meri gali mein chhup-chhup aana-jaana bhi
jhuT ka sabit ho jaana sach khul jaana
raat pe parda karna din ka aana bhi
ulTi sidhi baaten gane mausiqi
mobile ne chhina pina khana bhi
titli jaise uDna bal khana rukna
alhaD-pan ki fitrat hai iThlana bhi
man-mani sharton par haT-dharmi karna
duri qaem rakhna pyar jatana bhi
din bhar tap kar suraj ban jae kundan
Dubte waqt ka manzar KHub suhana bhi
andhe kunen ko ja-e-aman samjhe rahna
KHud hi dard uThana shor machana bhi
soch samajh kar 'nur' nahin kahta phir bhi
hosh ki baaten karta hai diwana bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.