TūTtī fariyād kī socho kabhū ai ham-nashīñ
us junūñ ke baad kī socho kabhū ai ham-nashīñ
lutf tum ko aa rahā hai chaar din ke ishq meñ
tā-abad ik yaad kī socho kabhū ai ham-nashīñ
aañkh rone bhī na paa.e aur dil ho ġham-zada
zabt ke mī.ād kī socho kabhū ai ham-nashīñ
tum kabhī pahlū badal kar is zamīñ se aa lago
phir dil-e-barbād kī socho kabhū a ham-nashīñ
sher sun kar vaah karnā lāzmī thā yaar par
bebasī par daad kī socho kabhū ai ham-nashīñ
TuTti fariyaad ki socho kabhu ai ham-nashin
us junun ke baad ki socho kabhu ai ham-nashin
lutf tum ko aa raha hai chaar din ke ishq mein
ta-abad ek yaad ki socho kabhu ai ham-nashin
aankh rone bhi na pae aur dil ho gham-zada
zabt ke miad ki socho kabhu ai ham-nashin
tum kabhi pahlu badal kar is zamin se aa lago
phir dil-e-barbaad ki socho kabhu a ham-nashin
sher sun kar wah karna lazmi tha yar par
bebasi par dad ki socho kabhu ai ham-nashin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.