TūTtī shāḳh par vo baiThā thā
hañs rahā thā ghaḌī-bhar ūñchā thā
yuuñ to baiThā thā mutma.in chhat par
haañ magar zalzale se Dartā thā
jaane kis baat par bigaḌ baiThe
maiñ to ḳhud se bhī duur baiThā thā
roz kahtā thā kuudo kuud ga.e
ghar se ik saañs duur dariyā thā
rah ga.iiñ raah meñ hī vo rāheñ
bojh jin par falak falak kā thā
bikhrā āñdhī meñ ek ik Tiila
ret kā ye to hashr honā thā
'ābid' us kī nazar kā thā jaadū
vo jo jiine kā hausla sā thā
TuTti shaKH par wo baiTha tha
hans raha tha ghaDi-bhar uncha tha
yun to baiTha tha mutmain chhat par
han magar zalzale se Darta tha
jaane kis baat par bigaD baiThe
main to KHud se bhi dur baiTha tha
roz kahta tha kudo kud gae
ghar se ek sans dur dariya tha
rah gain rah mein hi wo rahen
bojh jin par falak falak ka tha
bikhra aandhi mein ek ek Tila
ret ka ye to hashr hona tha
'abid' us ki nazar ka tha jadu
wo jo jine ka hausla sa tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.