tuyur-e-fikr-o-suKHan ki uDan zinda hai
tuyur-e-fikr-o-suKHan ki uDan zinda hai
Sayyad Safdar Raza Khandvi
MORE BYSayyad Safdar Raza Khandvi
tuyūr-e-fikr-o-suḳhan kī uḌaan zinda hai
ḳhudā kā shukr ki urdu zabān zinda hai
tanābeñ kaaT diiñ jis ne mirī zamīn ke saath
use kaho ki abhī āsmān zinda hai
ajab hai gumbad-e-be-dar kī guuñj sun lenā
samā.atoñ pe tirā ye gumān zinda hai
nagar kī puḳhta havelī meñ ghuT ke marne se
chalo ki gaañv kā kachchā makān zinda hai
paroñ ko baiTh gayā kyoñ sameT kar apne
uḌaan bhar ki abhī āsmān zinda hai
ḳhudā ke ghar ko girāyā to kyā kamāl kiyā
kamāl ye hai ki ab bhī azaan zinda hai
bahut hī ḳhush haiñ fasādī jalā ke ghar merā
ḳhabar nahīñ ki mirā ḳhāndān zinda hai
hamārā ḳhuun hai shāmil vatan kī miTTī meñ
hamāre dam se hī hindostān zinda hai
yazīdiyat to 'razā' hai fanā kī manzil meñ
husainiyat tirā nām-o-nishān zinda hai
tuyur-e-fikr-o-suKHan ki uDan zinda hai
KHuda ka shukr ki urdu zaban zinda hai
tanaben kaT din jis ne meri zamin ke sath
use kaho ki abhi aasman zinda hai
ajab hai gumbad-e-be-dar ki gunj sun lena
samaaton pe tera ye guman zinda hai
nagar ki puKHta haweli mein ghuT ke marne se
chalo ki ganw ka kachcha makan zinda hai
paron ko baiTh gaya kyon sameT kar apne
uDan bhar ki abhi aasman zinda hai
KHuda ke ghar ko giraya to kya kamal kiya
kamal ye hai ki ab bhi azan zinda hai
bahut hi KHush hain fasadi jala ke ghar mera
KHabar nahin ki mera KHandan zinda hai
hamara KHun hai shamil watan ki miTTi mein
hamare dam se hi hindostan zinda hai
yazidiyat to 'raza' hai fana ki manzil mein
husainiyat tera nam-o-nishan zinda hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.