ubhar ke aaya tha shab hote hi hunar mera
ubhar ke aaya thā shab hote hī hunar merā
phir intizār hī kartī rahī sahar merā
maiñ roz tapte hue dasht se guzartā huuñ
maiñ roz kahtā huuñ aa.egā ham-safar merā
zamīñ pe hote hue bhī maiñ āsmān pe thā
jab us kī god meñ rakkhā huā thā sar merā
kabhī zabāñ se vo iz.hār to na kar paayā
ḳhayāl dil meñ basā kar jiye magar merā
tumhāre baad bhī toḌe bahut se dil maiñ ne
tumhāre baad bhī jaarī rahā safar merā
baḌe sukūn se rahtī hai mujh meñ ḳhāmoshī
bhale hī chīḳhtā rahtā ho saarā ghar merā
ubhar ke aaya tha shab hote hi hunar mera
phir intizar hi karti rahi sahar mera
main roz tapte hue dasht se guzarta hun
main roz kahta hun aaega ham-safar mera
zamin pe hote hue bhi main aasman pe tha
jab us ki god mein rakkha hua tha sar mera
kabhi zaban se wo izhaar to na kar paya
KHayal dil mein basa kar jiye magar mera
tumhaare baad bhi toDe bahut se dil main ne
tumhaare baad bhi jari raha safar mera
baDe sukun se rahti hai mujh mein KHamoshi
bhale hi chiKHta rahta ho sara ghar mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.