ubharta chand likkhenge sunahra KHwab likkhenge
ubhartā chāñd likkheñge sunahrā ḳhvāb likkheñge
kitāb-e-dil kā ik din phir se pahlā baab likkheñge
hayā aa.ī gar apnī bebasī kā zikr karne se
'alāmat kī zabāñ meñ māhī-e-be-āb likkheñge
ham apne zaaġh ko tā.ūs kahne par musir hoñge
to sab tālāb kī chiḌiyoñ ko bhī surḳhāb likkheñge
hamāre zehn zang-ālūd dast-o-pā haiñ nākāra
ham ab tārīḳh zer-e-mimbar-o-mehrāb likkheñge
kabhī tārīḳh meñ be-nām rahnā hī bhalā.ī hai
tumhārā zikr likkheñge to phir qassāb likkheñge
sutūn-e-jism par mere na.e zaḳhmoñ ke resham se
mohabbat kā tarāna ḳhud mire ahbāb likkheñge
ubharta chand likkhenge sunahra KHwab likkhenge
kitab-e-dil ka ek din phir se pahla bab likkhenge
haya aai gar apni bebasi ka zikr karne se
'alamat ki zaban mein mahi-e-be-ab likkhenge
hum apne zagh ko taus kahne par musir honge
to sab talab ki chiDiyon ko bhi surKHab likkhenge
hamare zehn zang-alud dast-o-pa hain nakara
hum ab tariKH zer-e-mimbar-o-mehrab likkhenge
kabhi tariKH mein be-nam rahna hi bhalai hai
tumhaara zikr likkhenge to phir qassab likkhenge
sutun-e-jism par mere nae zaKHmon ke resham se
mohabbat ka tarana KHud mere ahbab likkhenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.