ubur kar na saka main ghurur dariya ka
ubuur kar na sakā maiñ ġhurūr dariyā kā
hai surḳhiyoñ meñ barābar qusūr dariyā kā
kisī palak meñ namī tak nahīñ rahī baaqī
chalā gayā kahāñ chehroñ se nuur dariyā kā
har ek mauj kī hai nabz mere hāthoñ meñ
mere shu.ūr meñ zam hai shu.ūr dariyā kā
har ek harf se ik tishnagī sī ristī hai
ahāta kartī haiñ kyā ye sutūr dariyā kā
bajā nahīñ hai ki us ne Dubo diyā mujh ko
badan pe daaġh lagā hai zarūr dariyā kā
mirī anā hī banegī barasne vaalī ghaTā
ye ḳhālī kuuze se hogā zuhūr dariyā kā
ubur kar na saka main ghurur dariya ka
hai surKHiyon mein barabar qusur dariya ka
kisi palak mein nami tak nahin rahi baqi
chala gaya kahan chehron se nur dariya ka
har ek mauj ki hai nabz mere hathon mein
mere shuur mein zam hai shuur dariya ka
har ek harf se ek tishnagi si risti hai
ahata karti hain kya ye sutur dariya ka
baja nahin hai ki us ne Dubo diya mujh ko
badan pe dagh laga hai zarur dariya ka
meri ana hi banegi barasne wali ghaTa
ye KHali kuze se hoga zuhur dariya ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.