‘ubur kar wadi-e-tazabzub faraaz ki rahguzar se pahle
‘ubūr kar vādī-e-tazabzub farāz kī rahguzar se pahle
matā'-e-‘azm-o-yaqīñ hai vājib safar meñ raḳht-e-safar se pahle
ye māh-o-anjum sarā surayyā chaman bayābāñ ḳhizāñ bahārāñ
haiñ sab haqīqat meñ be-haqīqat haqīqat-e-muntazar se pahle
kahāñ the ye rāh-o-rasm-e-manzil kahāñ the dār-o-rasan salāsil
thā kaun maqtal meñ sar-kashīda tumhāre shorīda-sar se pahle
khanak rahī hai abhī to paa.el baras rahe haiñ abhī to bādal
ye kyā ki bahne lagā hai kājal hujūm-e-barq-o-sharar se pahle
milā jo mauqa' to ham-safīro maiñ apnī rūdād yuuñ kahūñgā
ki ro paḌegī fazā-e-mahmil huzūr meñ chashm-e-tar se pahle
hai ‘āriz-e-gul pe ashk-e-shabnam kalī kī palkeñ jhukī jhukī haiñ
vo aise baiThe hue haiñ jaise chaman nasīm-e-sahar se pahle
ufuq pe āñdhī chaḌhī huī hai bhañvar kī himmat baḌhī huī hai
bhañvar ko shāyad pata nahīñ hai junūñ bhañvar hai bhañvar se pahle
ye sub.h-e-kāzib hai sarfarosho abhī añdherā miTā nahīñ hai
na chain zulmat ko lene denā tulū’-e-nūr-e-sahar se pahle
nisār 'bazmī' ġhurūr us kā bas ek sajda qusūr us kā
jo 'arsh vāloñ meñ mo'tabar thā shu’ūr-e-nā-mo'tabar se pahle
‘ubur kar wadi-e-tazabzub faraaz ki rahguzar se pahle
mata'-e-‘azm-o-yaqin hai wajib safar mein raKHt-e-safar se pahle
ye mah-o-anjum sara surayya chaman bayaban KHizan bahaaran
hain sab haqiqat mein be-haqiqat haqiqat-e-muntazar se pahle
kahan the ye rah-o-rasm-e-manzil kahan the dar-o-rasan salasil
tha kaun maqtal mein sar-kashida tumhaare shorida-sar se pahle
khanak rahi hai abhi to pael baras rahe hain abhi to baadal
ye kya ki bahne laga hai kajal hujum-e-barq-o-sharar se pahle
mila jo mauqa' to ham-safiro main apni rudad yun kahunga
ki ro paDegi faza-e-mahmil huzur mein chashm-e-tar se pahle
hai ‘ariz-e-gul pe ashk-e-shabnam kali ki palken jhuki jhuki hain
wo aise baiThe hue hain jaise chaman nasim-e-sahar se pahle
ufuq pe aandhi chaDhi hui hai bhanwar ki himmat baDhi hui hai
bhanwar ko shayad pata nahin hai junun bhanwar hai bhanwar se pahle
ye subh-e-kazib hai sarfarosho abhi andhera miTa nahin hai
na chain zulmat ko lene dena tulu’-e-nur-e-sahar se pahle
nisar 'bazmi' ghurur us ka bas ek sajda qusur us ka
jo 'arsh walon mein mo'tabar tha shu’ur-e-na-mo'tabar se pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.