uD gai chehre ki rangat zard chehra ho gaya
uḌ ga.ī chehre kī rangat zard chehra ho gayā
kis liye kuchh din se gum-sum ho tumheñ kyā ho gayā
TuuT kar bikhre dhanak ke rang āñkhoñ meñ mirī
us ne jab añgḌā.ī lī mausam suhānā ho gayā
mohtaram thā ishq jab tak ḳhānqāhoñ meñ rahā
bārgāh-e-husn meñ aaya to rusvā ho gayā
sho.abada-bāzī ziyāda der tak chaltī nahīñ
jo tamāsha karne aaya ḳhud tamāshā ho gayā
istaqāmat ne liyā jis kī chaTānoñ se ḳhirāj
TuuT kar is tarah bikhrā reza-reza ho gayā
chaḌh ke aaya thā baḌī shiddat se dariyā-e-havas
jab merī tauba se Takrāyā to sahrā ho gayā
phuul sā chehra bas ik shab ḳhvāb meñ aaya mire
aur phir merā mirī nīñdoñ se jhagḌā ho gayā
ek sajda yuuñ adā ho ai mire parvardigār
tū kahe uTh jā mire bande ki sajda ho gayā
rāt-bhar ik dūsre se guftugū kī 'altamash'
aur phir bātoñ hī bātoñ meñ saverā ho gayā
uD gai chehre ki rangat zard chehra ho gaya
kis liye kuchh din se gum-sum ho tumhein kya ho gaya
TuT kar bikhre dhanak ke rang aankhon mein meri
us ne jab angDai li mausam suhana ho gaya
mohtaram tha ishq jab tak KHanqahon mein raha
bargah-e-husn mein aaya to ruswa ho gaya
shoabada-bazi ziyaada der tak chalti nahin
jo tamasha karne aaya KHud tamasha ho gaya
istaqamat ne liya jis ki chaTanon se KHiraj
TuT kar is tarah bikhra reza-reza ho gaya
chaDh ke aaya tha baDi shiddat se dariya-e-hawas
jab meri tauba se Takraya to sahra ho gaya
phul sa chehra bas ek shab KHwab mein aaya mere
aur phir mera meri nindon se jhagDa ho gaya
ek sajda yun ada ho ai mere parwardigar
tu kahe uTh ja mere bande ki sajda ho gaya
raat-bhar ek dusre se guftugu ki 'altamash'
aur phir baaton hi baaton mein sawera ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.