uDa ghubar hawaon ki anjuman mein hai
uḌā ġhubār havāoñ kī anjuman meñ hai
dhuāñ dhuāñ sā fazāoñ kī anjuman meñ hai
nigāh-e-manzar-e-dilkash meñ chhā ga.ī surḳhī
mai-e-ḳhumār sadāoñ kī anjuman meñ hai
libās-posh kī ḳhvāhish meñ lag gayā hai zañg
shikasta daaġh qabāoñ kī anjuman meñ hai
tum us se duur raho niiñd uḌ na jaa.e kahīñ
thakan ḳhamīda ridāoñ kī anjuman meñ hai
nizām-e-vaqt kā ab ḳhuuñ nichoḌnā hogā
ki sang-e-saḳht adāoñ kī anjuman meñ hai
darinde karb ke mañDlā rahe haiñ us ke gird
ye kaun ḳhufta-balāoñ kī anjuman meñ hai
bashar kī ziist mulavvis hai raakh se 'qudsī'
sulagtī aag vafāoñ kī anjuman meñ hai
uDa ghubar hawaon ki anjuman mein hai
dhuan dhuan sa fazaon ki anjuman mein hai
nigah-e-manzar-e-dilkash mein chha gai surKHi
mai-e-KHumar sadaon ki anjuman mein hai
libas-posh ki KHwahish mein lag gaya hai zang
shikasta dagh qabaon ki anjuman mein hai
tum us se dur raho nind uD na jae kahin
thakan KHamida ridaon ki anjuman mein hai
nizam-e-waqt ka ab KHun nichoDna hoga
ki sang-e-saKHt adaon ki anjuman mein hai
darinde karb ke manDla rahe hain us ke gird
ye kaun KHufta-balaon ki anjuman mein hai
bashar ki zist mulawwis hai rakh se 'qudsi'
sulagti aag wafaon ki anjuman mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.