uDa kar amn ke parcham sitam walon ki tadbiren
uDa kar amn ke parcham sitam walon ki tadbiren
Shafiullah Khan Janbaz
MORE BYShafiullah Khan Janbaz
uḌā kar amn ke parcham sitam vāloñ kī tadbīreñ
ḳhirad ke paañv meñ Daalī ga.iiñ sone kī zanjīreñ
jahān-e-shor-o-shar kā naam hī hai garche āzādī
qafas hī is se achchhā thā bahut achchhī thiiñ zanjīreñ
sukūn-o-amn ke ḳhūgar bane haiñ ḳhaar rāhoñ ke
añdhere raqs-farmā haiñ ujāloñ kī haiñ tāsīreñ
samar ye TuuT jā.egā ḳhirad ke pāsbānoñ kā
junūñ ke azm kī jis dam machal uTTheñgī tasvīreñ
nizām-e-zindagī Dar hai kahīñ barham na ho jaa.e
yahī hai garche ai 'jāñbāz' āzādī kī tāsīreñ
uDa kar amn ke parcham sitam walon ki tadbiren
KHirad ke panw mein Dali gain sone ki zanjiren
jahan-e-shor-o-shar ka nam hi hai garche aazadi
qafas hi is se achchha tha bahut achchhi thin zanjiren
sukun-o-amn ke KHugar bane hain KHar rahon ke
andhere raqs-farma hain ujalon ki hain tasiren
samar ye TuT jaega KHirad ke pasbanon ka
junun ke azm ki jis dam machal uTThengi taswiren
nizam-e-zindagi Dar hai kahin barham na ho jae
yahi hai garche ai 'jaanbaz' aazadi ki tasiren
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.