uDanon ke hunar ko aazmana chahta hai
uḌānoñ ke hunar ko āzmānā chāhtā hai
parinda āsmāñ ke paar jaanā chāhtā hai
masarrat har koī dil meñ basānā chāhtā hai
ġham-e-dil har koī apnā bhulānā chāhtā hai
agarche zehn vā'da toḌnā chāhe magar dil
vafā kā 'ahd duniyā se nibhānā chāhtā hai
ye kaisī hoḌ andhī dauḌ duniyā meñ machī hai
jise dekho vahī daulat kamānā chāhtā hai
banā kar atomī hathiyār lākhoñ jān-levā
vujūd insān apnā ḳhud miTānā chāhtā hai
uDanon ke hunar ko aazmana chahta hai
parinda aasman ke par jaana chahta hai
masarrat har koi dil mein basana chahta hai
gham-e-dil har koi apna bhulana chahta hai
agarche zehn wa'da toDna chahe magar dil
wafa ka 'ahd duniya se nibhana chahta hai
ye kaisi hoD andhi dauD duniya mein machi hai
jise dekho wahi daulat kamana chahta hai
bana kar atomi hathiyar lakhon jaan-lewa
wujud insan apna KHud miTana chahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.